Tuesday, December 8, 2009


OM SAI RAM
"SAI BHAKTON SE BINTI"
MARNE KE BAAD BHI HUM AA SAKTE HEIN KISI KE KAAM.... APNA NETRA DHAN KARKE"
Main Sai bhakt Manu Gidwani, chha (6ft) foot ki oonchahi hai meri. Jab mujhe mere Sai ka bulawa aayega aur main dam todh doonga to mere pariwarwale mujhe mere apne hi ghar mein do ghante bhi nahi rakhenge aur mujhe shamshaan le ja kar mera antim sanskar karke, mere shareer ko jalakar basam karne ke baad apne ghar laut aayege.
Doosre din jayenge shamshaan meri asthiyan lene. Unhen meri asthiyan milegi ek chhe (6") inch ke dibbe mein. Ek chhe (6ft) ka insaan ek chhe (6") inch ke dibbe mein sama jata hai. Dibba kholenge to na unhen meri aakhen dikhaee degi aur na hi mere shareer ka aur koi hissa. Dikhaee degi to sirf raakh hi raakh. Kiske kaam aaya mein marne ke baad? Jabki marne ke baad bhi aa sakta hoon mein kiske kaam apne netra dhan karke.
Ek netraheen ko doonga main roshni jo dekhega kudraat ke karishme. Meri aakhen kisi Hindu ko milti hai to marne ke baad bhi main SAI BABA ko dekhooga, Musalman ko milti hai to main ALLAH ko dekhoonga, Sikh ko milti hai to main NANAK ko dekhoonga aur kisi ISAI ko milti hai to main ISAHMASI ko dekhoonga. Iss se badkar kaonsa ho sakta hai punya? Mere sab gunah honge mauf ESHWAR KE DARBAR mein, SAI ki adalat mein. Nah padegi koi avshakta GANGA ko mailee karne ki apne paap dhote dhote.
Kyon na mitayen hum kisi ki aakhon ka andhera apne NETRA DHAN karke aur dekhen koi na rahe netraheen is desh mein.
SAI BHAKT MANU GIDWANI

No comments:

Post a Comment